SMS Collection

Hindi Republic Day SMS

                         Hindi Republic Day SMS

Itni si baat hawao ko bataye rakhna,
roshni hogi chirago ko jalaye rakhna,
Lahu dekar ki hai jiski ifazat hamne,
aise tirange ko sada apne dil me basaye rakhna…


Jaan to kardi hamne watan ke naam par,
Shaan to kardi hamne watan ke naam par,
Kurbaaniyo se paai hai hamne aazaadi,
Hamara watan to laakho main ek hai,
Aan bhi kardi hamne watan ke naam par…


Gandhi swapna jab satya bana,
Desh tabhi jab gantantra bana,
Aaj fir sae yaad kare woh mehnat,
Jo thi ki veero ne,aur bharat gantantra bana.

Tairna hai to smandar mein tairo nadi naalo mein kya rakha hai?
Pyar karna hai to watan se karo In bewafa ladko mein kya rakha hai.
JAI HIND Happy republic day

Airna hai to smandar mein tairo
Nadi naalo mein kya rakha hai?
Pyar karna hai to watan se karo
In bewafa ladko mein kya rakha hai.
JAI HIND Happy republic day .

Nahi sirf Jashn Manana,
Nahi sirf Jhande Lehrana,
Yeh Kaafi nahi hai watanparasti,
Yadon ko nahi bhulana,
Jo Qurbaan hue,
Unke lafzon ko aage badhana,
Khuda ke liye nahi ..
Zindagi Watan k liye Nibhana..

Motivational Shayari



Taaron mein akela chaad jagmagata hai…..
mushquilo mein akela insaan dagmagata hai….
kaate se ghabrana mat mere dost…..
kyoki kaaton mein hi akela gulab muskurata hai…..!

Desh Bhakti Shayari



Aajadi ki kabhi shaam nahi hone denge,
Sahidon ki kurbani badnaam nahi hone denge,
Bachi ho jo ek bund bhi garam lahu ki…
Tab tak bharat mata ka aanchal nilaam nahi hane denge.